India kaafi aage badh chuka hai,
Aur shayad India main rehne wali har ek family bhi!
Kya sach main har family, har insaan ki soch badal gayi hai?
Jawaab hai NAHI!!!
Aaj bhi har ghar main ladke aur ladki ke beech main antar kia jata hai
Jaise ladka raat bhar ghum sakta hai lekin
Ladkiyon ko andhera hone se pehle ghar aa jana chahiye
KYU?
Kyuki unko koi ched dega?
Ladkiyon ki maa ye kyu bhul jaati hai ki unki ladkiyan bhi unhi ke jaisi strong aur bold hai, jo har roz koi na koi jung ladti rehti hai
Aaj bhi dekhlo, Maa ka sabse zyada pyaar beto ko hi milta hai, betiyon ko nahi!
Agar ladka shorts pehenke pura moholla ghum sakta hai,
Toh kadki kyu nahi?
KYU?
Kyuki moholle ke chapri ladke usse dekh ke ghurenge?
Kyu hum jaa kar unn ladko nahi kehte ki ghurna band karo!
Kyu hum apni ladkiyon ko ye nahi kehte ki ghum apni marzi se
Jab ghar mein ladki paida hoti hai toh parivaar mein kisiko itni khushi nahi hoti
Jitni ladke ke paida hone pe hoti hai
Ladkiyon ko ghar ke kaam karne chahiye aur ladko ko nahi!
KYU?
Agar corporate world mein ladka aur ladki saath baithkar, ek hi post pe rehkar kaam kar sakte hai,
Toh ghar ke kaam kyu sirf ladki hi kare?
Kyu khana sirf ladki hi banaye?
Kyu jaadu pocha aur bartan sirf ladki hi kare?
Arey kayi ladke toh apne kapde bhi khud nahi dote!
KYU?
Kyu aaj bhi ladko ke dreams ko fulfil karne pura parivaar sacrifices karta hai,
Lekin ek ladki ke dreams ko fulfil karna toh durr, koi sunta bhi nahi hai!
KYU?
Aaj bhi jab ladki ghar se bahar nikalti hai toh ghar wale kehte hai,
“Sambhal kar jaana!”
KYU?
Kabhi apne ladke ko aise kyu nahi bola jata hai ye?
Ladko ko ye kyu nahi kehte,
“Tum apne aap ko kaabu mein rakhna aur har ladki ki izzat karna!”
KYU?
Ha India sachme kaafi aage badh gaya hai
Par kuch logon ki soch aaj bhi vahi ki vahi reh gayi hai!
BUT
Aaj bhi kahi ray of hope hai,
Aaj bhi bohot ladke aise hote hai, jo ladkiyon ko apne barabar samajte hai
Aaj bhi bohot ladke aise hote hai, jo ladkiyon ki sahi mayno mein care aur chinta karte hai
Aaj bhi bohot ladke aise hote hai, jo gharke kaam bhi karte hai aur haath bhi batate hai
Aaj bhi bohot se parivaar aise hai jaha ladka-ladki ka bhed bhaav nai kia jata
Aaj bhi bohot se parivaar aise hai jaha ladki ke paida hone pe khushi manayi jaati hai
Aaj bhi bohot se parivaar aise hai jaha ladkiyon ko apne dreams fulfil karne ke liye support kia jata hai
Aaj bhi bohot se parivaar aise hai jaha ladkiyon ko der raat tak bahar ghumne ki permission hoti hai
Agar kuch parivaar aur kuch ladke aise ho sakte hai,
Toh pura desh KYU nahi?
KYU?
Written by Niki Parmar.
Follow her on her Instagram
https://www.instagram.com/_nikiiii_08/

Keep watching https://desaithoughtsmedia.wordpress.com/ for more such content